Ek Paigaam Dehshatgardo Ke Naam
Kyun kar raha hai tu khoon raizi mazhab ke naam pe?
Khud ko samajh liya hai Khuda Islam ke naam pe!
Woh Rab hai is Alameen ka,
Is aasmaan ka, is zameen ka.
Tu uski hasti ko kam aank raha hai,
Jab kahta hai ki woh hai bas musalmeen ka.
Usko pana hai, apne ko sachcha Musalmaan kahlana hai,
Tu apni hasti ko mita de,
Na ki basi-basai basti ujaad de.
Aankh khol ke dekh, har banda hai saakaar usi Khuda ka,
Ye tune lagaya hai jispe nishaan Hindu-Musalmaan ka.
Har insaan mein hai usi paak rooh ki chingari,
Mat bujhha ki isko, ban dozak ka bhagidari.
Kar parhez dehshatgardi se,
Kar tauba is haiwaaniyat se.
Na ujaad is gulshan ko,
Nahi to royega is viraane mein.
Kabr ke azaab payega is jahaan mein.
Haste ko rulana to hai aasaan,
Rote ko hasao to koi baat bane.
Apne karam se apne mazhab ko parwaan chadhao,
to koi baat hai,
Apne kirdaar se Islam ko kiya hai sharmsaar,
ye koi baat hai?
Ek sheir sunati hun, jo tere mutaalik hai,
Tujhe aa jaye समझ, yahi hai eltizaa Maalik se.
“Aandhiyaan ban ke chiragon ko bujhane wale,
Tum kahaan jaoge duniya mein andhera karke? ”
.............................................By NADIRA AHMAD
Thursday, 18 December 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment